it was a day when i leave college

roz ki jindagi me ek udasi chhai hai
college ki life me tanhai chhai hai
wahi class ladai fir se ayi hai
jane kisase milne ko betabi chhai hai
sach ke samander me virani hai
shayd jate huye sipahi ki kahani hai
ab ruk jao hum aman chahte hai
akhir ye kiski ant ki kahani hai
sar ko jhukane ki gujarish hai
pyar ke dekhne ki gunjaish hai
kab tak ladoge tanhai se
muhhabat humko samajhane ayi hai
us mulakat ko yad karo jab hum tanha the
us bat ko yad karo jab hum musafir the
bhul kar mil jate hai gale dusmani ko
hame to apke pyar ki khwaish hai
aj alwida kahne ka din aya hai
sath me udasi ka mahaul laya hai
koi nahi hai kahne ko apnaa
bas mahaul me matam sa chahya hai
chalo ab alwaida kahte hai tumko
mile na mile yad rakhana humko
mana ki hum bure hai teri nigahon me
par hume yad rakhana ye hamri akhiri khwayish hai……..
No comments:
Post a Comment