
Aaj mili khushiya itni ki, ji bhar ke roya hun mai
Kaun kahega unse ki sab jate-jate khoya hun mai
Tujhako dekha hai sapno me,sapno me bate ati hai
Jhukane ki baten karte ho ,har roz mujhe samjhti hai
Mat karo pyar kisi se tum,aksar ye bate ati hai
Har din ki kali rato me yaad tujhe kar soya hun mai
Aaj mili khushiya itni ki, ji bhar ke roya hun mai
Chal bat khatam karte hai kaphir
Kab jana hai, kab ana hai
Kab jate huye rulana hai
Teri sari bato ko ek jam me pita aaya hun mai
Koi nahi raha apna kisko hum dard sunane baithe hai
Suna kar bhi nahi suna paye tab khushiya lekr aye hai
Ab to dard ki bari hai, apna hi ghar suna sa hai
Ai “Raj” bata de inko tu, wafa hi karta aya hun mai
Koi bat nahi koi sath nahi Mahphil bhi khali khali hai
Mere jane ke bad sanam tere ghar me diwali hai
Tu nahi hua mera to kya tera banane aya hun mai
Aj hai antim ekrar sanam, alwida kahne aya hun mai
Shabdo ki mala sath liye , vadi ko phool banata hu
Ban jao meri dulhan tum , har bar ayi dohrata hun
Par aj nahi hoga aisa kuch aisa dikhalata hun mai
Maut hume do shayrana, yahi gujarish lekr aya hun mai
Par tu bhi nikla befwa kya wafa ki bate karta hai
Ja deta hun maut tujhe, tu bhul nahi sakta hum-dardi
Aaj mili khushiya itni ki, ji bhar ke roya hun mai
Kaun kahega unse ki sab jate jate khoya hun mai